Jeevan m bina kiye bhi kya s kya ho jata h... Jisme galat rah par chla vyakti bhi sahi ho jata h... Dekho! Kuch batoo ko samay pr chdkr... Zindagi bhi le aaegi tumhe ek naye mod par...
N chahkar bhi manushay krta h apne mn ki... Kai baar duniya bhi tehra deti hogi usko sanki... Anjaane m hi sahi kuch log aaise mil jate hn... Jo zindagi ka anmol path padha jate hn... Hum kehte hn kis mod par le aai zindagi... Sahi maine m zindagi ko kosna h hmari sharmindgi...
Zindagi ka dusra naam h anubhav... Hme nhi pta agle hi pal kya ho jae, kyun aur kab...
Log apni zindagi ko lekr rote hn... Shayad sirf apni jaadui duniya k baare m vo sochte hn... Arey! Khush hona chahiye tumhe kitna kuch mila h... Dusre ko sabit krne ki yh gandi kla h... Zindagi s gla shikwa to chlta hi rahega... Yh nhi hoga to hme manushay kon khega... Har pal kuch n kuch sochkr chintit hote ho...
Shayad usi pal apni zindagi s lagav tum kho bethte ho... Tum kehte ho - Allah! Ishwar! Khuda! ko jaante ho...
Arey! Pehle yh sabit kro ki tum khud ko pehchante ho... Yaar! Pyaar krna h to apne aap s kro...
Zindagi m sanyam rakho, khushi ka gungaan kro...
Zindagi nhi zindagi k pal anmol hote hn... Apne laalach ki chah m jinhe hum har pal khote hn... Zindagi nhi zindagi k pal anmol hote hn... ❤
Himanshi Tanwar
17 April 2020
No comments:
Post a Comment